zulm ki raat bahut jald Talegi ab to
aag chulhon mein har ek roz jalegi ab to
bhuk ke mare koi bachcha nahin roega
chain ki nind har ek shaKHs yahan soega
aandhi nafrat ki chalegi na kahin ab ke baras
pyar ki fasl ugaegi zamin ab ke baras
hai yaqin ab na koi shor-sharaba hoga
zulm hoga na kahin KHun-KHaraba hoga
os aur dhup ke sadme na sahega koi
ab mere desh mein beghar na rahega koi
nae wadon ka jo Dala hai wo jal achchha hai
rahnumaon ne kaha hai ki ye sal achchha hai
dil ke KHush rakhne ko ghaalib ye KHayal achchha hai
Nazm
Ek barhaman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
Sabir Dutt