faza mein istada raushni ka ek minar
usi ke pas andhiyare ki diwar
idhar wadi fana ki
har taraf jis mein dhuan-dhaar
jise ghere hain kuchh rangin baadal
shoKH, gulnar
us taraf KHushbu ki bauchhaar
zara haT kar samundar ilm ka
-jhagon ka ambar)
idhar uljhan
na jaane kya hai us par
Nazm
Iblagh se pare
Muzaffar Hanfi