zahe-nashat zahe-husn iztirab tera
nazar ki chheD se bajta tha jab rabab tera
na ab wo kaif ki raaten na wo bahaar ke din
ki mahw-e-naz na tha husn-e-la-jawab tera
dam-e-widaa wo rangin udasiyan teri
hunuz yaad hai wo dida-e-pur-ab tera
wo jhum jhum ke abr-e-bahaar ka aana
wo bijliyon ki taDap aur wo iztirab tera
wo ibtida-e-mohabbat wo chandni raaten
wo sehn-e-bagh mein hansta hua shabab tera
sambhal sambhal ke meri samt wo nigah teri
bacha bacha ke nazar mujh se wo KHitab tera
mera harim-e-tamanna tha aasman se buland
is aasman pe chamakta tha aaftab tera
abhi nazar mein hai raaz-o-niyaz ka aalam
wo meri ijz-e-mohabbat wo pech-o-tab tera
kabhi sitam ke liye aur kabhi karam ke liye
nigah-e-shoKH mein Duba hua hijab tera
mera sawal ba-qadr-e-hujum-e-shauq-e-nihan
haya ki aaD mein chhupta hua jawab tera
hanuz yaad hai 'jauhar' ko ai nigar-e-jamil
wo iltifat ke parde mein ijtinab tera
Nazm
Hunuz yaad hai
Jauhar Nizami