deson mein sab se achchha hindostan mera
ru-e-zamin pe jannat, jannat-nishan mera
hindostan mera, hindostan mera
wo pyara pyara manzar, wo mohni fazaen
wo unche unche parbat wo dil-faza guphaen
hindostan mera, hindostan mera
tinon taraf samundar, chauthi taraf himala
hai pasban is ka, is ka banane wala
hindostan mera, hindostan mera
ghunchon ka wo chaTakna, phulon ka wo mahakna
panchhi pakheruon ka wo subh-dam chahakna
hindostan mera, hindostan mera
dhime suron mein ganga ye git ga rahi hai
jamuna bhi apne munh mein ye gunguna rahi hai
hindostan mera, hindostan mera
gokul ka ek gwala bansi baja raha hai
bansi ki lai mein wo bhi ek git ga raha hai
hindostan mera, hindostan mera
duniya ke sare mewe is gulsitan mein hain
sab nematen mayassar hindostan mein hain
hindostan mera, hindostan mera
mera nishan yahi hai, mera jahan yahi hai
jannat meri yahi hai, mera makan yahi hai
hindostan mera, hindostan mera
Nazm
Hindostan mera
Arsh Malsiyani