اردو हिंदी
Hawa ke kan mein kahna use bikhra ke aa jae | Shaahi Shayari
hawa ke kan mein kahna use bikhra ke aa jae

Nazm

Hawa ke kan mein kahna use bikhra ke aa jae

Salman Siddiqui

;

wo ek be-jaan baadal hai
use uDna to aata hai

baras kar apni surat hu-ba-hu rakhna nahin aata
so jab is KHub-surat ke

badan ke lams ki KHatir
barasta hai

bhigota hai use taskin se labrez karta hai
to apni hi shabahat ka guman rakhe

yaqin ijz kar ke
is ke fani jism se ris kar

zamin ka rizq banta hai
to lagta hai

kisi an-honi saat ne
zamin ki tal par gir ke

baqa ka git chheDa ho