ek din waqt ka jhulsa hua maila chehra
ek dil-afroz jila paega
sarguzisht-e-gham-e-dauran ka musannif ek din
sari na-gufta hikayat ko jaega
wo dil-aram se mausam wo KHunuk wadi-e-rang
jin ki KHushbu pe ijara raha
saffak sitam-ranon ka
jin ke phulon mein phalon mein tha lahu
saikDon jaan-soKHta insanon ka
ab wo tariKH-e-zubun
waqt na dohraega
wo pasina jo Tapakta hai thake aur tape jismon se
mere ehsas ke mathe pe nami hai jis ki
ek din ru-e-zamin ka wahi ghaza ban kar
apni khoi hui mehnat ka sila paega
aur
shaddad-sifat
gham ka bhayanak aaseb
maut ke ghaT utar jaega

Nazm
Harf-e-yaqin
Akbar Hyderabadi