hansti hui laDki
ek aansu mein rahti hai
is ek aansu mein
jab wo chhup gai thi
to use kisi ne nahin DhunDa
aur is ek aansu mein
jab wo ghar gai thi
to kisi ko nahin mil saki
isi aansu mein se
hath baDha ke
us ne phul toDe the
aur isi aansu mein se us ne
wo kitab paDhi thi
jis mein aansuon se
toDe hue phul nahin rakhe ja sakte
hansti hui laDki
barish mein
is ek aansu se
bahar nahin ja sakti
wo chalti hai
aur hamesha thak ke baiTh jati hai
apne kaDhe hue rumal par
wo sunti hai apni kahi hui kahani
aur har bar rone lagti hai
hansti hui laDki
apni hatheli pe
aansuon se
ek qila bana leti hai
aur ek aansu se
ziyaada nahin roti
Nazm
Hansti hui laDki
Zeeshan Sahil