اردو हिंदी
Hamein kaha jaega | Shaahi Shayari
hamein kaha jaega

Nazm

Hamein kaha jaega

Zeeshan Sahil

;

hamein kaha jaega ki hath upar uTha len
aur apne talai KHwab, nuqrai wade

aur kansi ke phul hamare hawale kar den
apni mahbubaen waldain aur dost

hamare supurd kar den
apni zamin aur aasman girwi rakh den

apne samundar aur sahra
barae nam qimat pe faroKHt kar den

kashtiyon aur jangalon ko aag laga den
dariya aur pul KHali kar den

ghar chhoD ke chale jaen
aur pichhe muD ke na dekhen

mohabbat ek na-munasib qadam hai
is se gurez karen

hamein kaha jaega ki
aainda kuchh na kahen