ab ye kaisi uljhan hai
ab ye kaisa jhagDa hai
baat thi mohabbat ki
aur tum mohabbat par
ek hi mohabbat par
kab yaqin rakhte the
tum to har ghaDi apni
dil-barana aankhon mein
ek nai rifaqat ka KHwab le ke uThte the
aur apni shamon mein
apne KHwab-o-KHwahish ke
be-libas jazbon ko
shauq se sajate the
aur aise aalam mein
jism-o-jaan ke mausam mein
ek hum hi uljhan the
hum to ja chuke jaanan
dil pe bewafai ke
zaKHm kha chuke jaanan
ab ye kaisi uljhan hai
ab ye kaisa jhagDa hai
Nazm
Hum to ja chuke jaanan
Munawwar Jameel