do sadiyan kaise baat karen
sakhiyan ban jaen
sath chalen
aakash se phaili dharti tak
shishe ki ek diwar khinchi
kya ramz hai kaisa lahja hai
kya KHabren hain kya qissa hai
ab hath hilaen muskaen
sargoshi ho ya chillain
ab sar Takraen phulon ki saughat liye
kya baat bane
do sadiyan kaise baat karen
inkar sarasar na-mumkin
iqrar mukammal be-mani
ab sat-samundar shishe ki diwar se lag kar
jhank raha hai
ghur raha hai
jhunjhlahaT ka ghaTta baDhta pagal-pan
Nazm
Ham-safari
Abrarul Hasan