KHanjar ke phal par
ek taraf tumhaara nam likha hai
aur dusri taraf mera
jinhen paDhna aata hai
hamein batate hain
hamein qatl kar diya jaega
jo daraKHt ugata hai
hamein ek seb de deta hai
hum KHanjar se seb ke
do TukDe kar dete hain
hum kisi se puchhe baghair zinda rahte hain
aur kisi ko batae baghair
mohabbat karte hain
main ne ginti sikhi
aur yaad rakha
tum tak pahunchne ke liye mujhe
kitni siDhiyan tai karni paDti hain
ek din tum ye sari siDhiyan
nazmon ki kitab mein rakh kar
mujhe de dogi
ek din main tumhein bataunga
samundar wahan se shurua hota hai
jahan se KHushki nazar aani KHatm ho jae
phir hum jab chahenge
nazmon ki kitab se
ek waraq phaD kar kashti bana lenge
aur
dusra waraq phaD kar
samundar
phir hum jab chahenge
zamin ki gardish rok kar
raqs karne lagenge
nachte hue aadmi ke dil ka nishana
mushkil se liya ja sakta hai
Nazm
Hum kasi se puchhe baghair zinda rahte hain
Afzal Ahmad Syed