meri manind wo bhi
zulmat-e-shab ki musafir thi
andhere raston mein
subh-e-nau ke KHwab
aankhon mein sajae
ba-nam manzil be-nam
uftan aur KHezan
qadam apne baDhae
sahar ka KHwab
aankhon mein sajae
safar jitna bhi hum tai kar rahe the
masafat thi ki baDhti ja rahi thi
sukut-e-subh ki mayusiyon mein
jo ek tanha rafiq-e-rahrawi thi
wahi sham-e-tamanna bujh rahi thi
azab-e-tirgi nazil hua
mujh par bhi is par bhi
ki ye hukm-e-falak tha
sahar ka KHwab
donon ka gunah mushtarak tha
Nazm
Hum anjam
Sarshar Siddiqui