main jahan paida hua
parwarish paya baDha
aur jis ja aaj hun
un sabhi jaghon ka mausam
mo'tadil fayyaz muKHlis mehrban
jo tapane ya jamane ke amal se na-balad
KHak ke zarron ko bhobhal bante main ne
aaj tak dekha nahin
aur dariyaon ko rah-e-barf mein tabdil hote bhi na dekha
tajrabe miTTi ke londe gol chikne aur sapaT
nok hai un mein na dhaar
aur na chubhne ki sakat
ek aadat ek riwayat ek riwaj
kya mere bahar ka mausam aur kya mera mizaj!
Nazm
Hae shiddat ki kami
Ameeq Hanafi