main aksar socha karta hun
kash main naT-khaT baalak hota
aur paTak deta ek pal mein
KHwahish ke unche gumbad se
jiwan ka be-rang khilauna
aur kahin ja kar so jata
log ThiThak jate pal bhar ko
lambi aahen bharte kahte!
kaisa khilauna! TuT gaya hai!
kaam mein phir wo yun kho jate
jaise andhi shab mein dhuen ke
sanp falak ki jaanib lapken
Nazm
Ghurub
Raj Narayan Raaz