اردو हिंदी
Gum-shuda | Shaahi Shayari
gum-shuda

Nazm

Gum-shuda

Abrar Azmi

;

chalo
phir KHud ko DhunDen

zat ke nazare ki koshish karen
dekho

wo bhura dasht-e-imkan
dur tak phaila hua hai

samne hadd-e-nazar tak
gahri tariki ki nagan raqs-farma hai

bikharti ret par
koi bhi naqsh-e-pa nahin hai