kisi aankh ke papoTon ke
khulne aur band hone ke darmiyan
ek raushni ka aasman
apni chhab dikha ke kahin gum ho gaya hai
aur main kabhi
apni aankh ki putliyon ke
jagte hue andheron mein
use DhunDti hun
aur kabhi khuli aankh ke qalam se
likhe gae aks mein
use tarashti hun
magar
wo raushni ka aasman
mujhe mil nahin raha hai
Nazm
Gum-shuda lamhe ki talash
Sarwat Zehra