phul basi ho gae hain
lams ki shiddat se thak kar
hath jhuTe ho gae hain
is jagah kal nahr thi aur aaj dariya bah raha hai
buDha manjhi kah raha hai
KHwahishon ke peD par laTke hue
sayon ko dimak kha rahi hai
waqt ki nali mein
suraj chand tare bah rahe hain
barf ke jangal se shole uTh rahe hain
KHwab ke jalte hue chite
meri aankhon mein aa kar chhup gae hain
ghar ki diwaron pe
tanhai ke bichchhu rengte hain
tishnagi ke sanp
KHali pani ke maTke mein apna munh chhupae ro rahe hain
raat ke bahke hue hathi
ufuq ke band darwaze pe dastak de rahe hain
hath chhoDo
hath mein kanTa chubha hai
tin din se phans andar hai
nikalti hi nahin
nam kya hai aur kahan rahte ho tum
jama masjid ke qarib
kahte hain masjid ke minare bhi the
shahr mein ek zalzala aaya tha jis se gir gae
gosht ki saDkon pe
kale KHun ke sayon ka suraj chal raha hai
lazzaton ki aag mein tan jal raha hai
Nazm
Gosht ki saDkon par
Adil Mansuri