main yahan nahin tha
main wahan nahin tha
dard-bhare aasman mein
chiKH ban ke
ubhar raha tha
tang ghaTiyon mein
gunj ban raha tha
samundaron pe
reza reza gir raha tha
main yahan nahin tha
kale jangalon ke ghor andhere mein tha
rafta rafta sab siyahi miT gai
sare jangal
kaT gae
hayule ghaTte ghaTte
ghazal-e-shab bane
andhere chhaT gae
abr ke siyah TukDe dhund ban gae
chaar-su dhund phailti gai
ikaiyon ko dur dur tak bahati
chaar-su phailti gai
dhund mein
ghazal-e-shab ne
rafta rafta aankh kholi
zaban se kuchh na boli
haft-asmanon se le ke
taht-us-sura tak
hazar-ha charagh jal uThe
raushni se jal gai
ghazal-e-shab ki aankh nur thi
ghazal-e-shab ki aankh tur thi
rafta rafta
raushni ne raushni ko
apni jaanib khincha
aur main nur mein naha gaya
dudhiya siyah rang
chahaar samt chha gaya
paniyon ka zor
baDhne laga
sailab aaya
bandh TuTe
ret ke gharaunde
miTTi ke ganw
pattharon ke shahr Dhah gae
subh-o-sham ke kinare
ek duje se gale mil gae
andhere jism ke khanDar ki
siyah taqon mein
dilon ke sau charagh jal gae
rafta rafta
ghazal-e-shab ne aankh band ki
aur
sara pani khai ki taraf chala gaya
tez paniyon mein
main bhi aa gaya
ab faqat
main raushni mein band hun
aur
andheron ko taras raha hun
main yahan nahin hun
main
ghazal-e-shab ke sath hun
main
ghazal-e-shab ke sath hun
Nazm
Ghazal-e-shab ke sath
Khaleel Mamoon