ek janaze ko uThae ja rahe the chand log
tum ne puchha kya hua kyun ja rahe ho tum malul
tum ko logon ne bataya mar gaya hai ek shaKHs
aur yun marte hain nadan hun ki arbab-e-uqul
mangne ko chand paise peT bharne ke liye
ja raha tha raste se ek be-bechaara faqir
tum ne dekha koi us ka puchhne wala nahin
tha maraz mein mubtala wo qaid-e-nikhat ka asir
chashm-e-haq-bin ke liye ibrat ke nazzare mile
hasti-e-insan pe jo zindagani dekh kar
aish-o-ishrat ke maze be-kar se sabit hue
naqsh-e-alam mein numayan rang-e-fani dekh kar
raj chhoDa baadshahat ki ummiden tark kin
ho gaya betab dil ruh-e-haqiqat ke liye
chhoD din aasaishen phirte rahe tum ku-ba-ku
hasti-e-mabud ki nazr-e-aqidat ke liye
iztirabana basar ki zindagani muddaton
kulfaten rah ke uThain mausamon ki shiddaten
ki riyazat raat-din dil ki tasalli ke liye
ja-ba-ja phirte rahe kin murshidon ki KHidmaten
dur basti se gaya ke ek shajar ki chhanw mein
tum ko bil-aKHir sukun-e-jawedani mil gaya
dafatan chamki haqiqat ki tajalli samne
mehnat-e-paiham se raaz-e-zindagani mil gaya
ab bhi pairaw hain tumhaare tum ho un ke dewta
ab bhi pur un ki aqidat se tumhaara jam hai
ye nataej hain tumhaare be-gharaz aamal ke
tum nahin zinda magar zinda tumhaara nam hai
Nazm
Gautam-budh
Maikash Akbarabadi