gham ka aahang hai
is sham ki tanhai mein
dam-e-nairang hai
aaghaz ka anjam liye
koi naghma koi KHushbu nahin
purwai mein
dil ke aaine mein
aur ruh ki gahrai mein
ek hi aks kai nam liye
raqs mein hai
partaw-e-husn-e-dil-aram liye
phir tere dhyan mein baiTha hun
tahi jam liye
hasrat-e-sai-talab
be-sar-o-saman bhi hai
saKHt haijaan bhi hai
jalte bujhte se diye
zist ki pahnai mein
waqt ki jhil mein
yaadon ke kanwal
dur tak dhund ke malbus mein
manus nuqush
chandni raat pawan
taj-mahal
talKH mazi ki hikayat hain
aur haal ke afsane bhi
muntashir KHwab hain
viran sanam-KHane bhi
han magar yaad
tere wasl ka paiman bhi hai
ek muddat se
teri did ka arman bhi hai!!
Nazm
Gham ka aahang hai
Akhtar Ziai