mujh ko wo kutta
saba qadmon uchhalta
maKHmali sabze pe tohfa
husn-e-mutlaq ka bana dil-kash laga tha
lambe baalon
rui ke galon ko pahne
jism is ka gend sa lagne laga tha
ek gulabi narm ungli
narm paTTa
halki si zanjir
wo kutta bahut achchha laga tha
han magar wo gend sa
kutta uchhalta bhi
achanak ek patthar ke sire par
sunghta kuchh ruk gaya
aur aam kutton ki tarah
ek Tang apni jab uTha kar
hasb-e-KHaslat kar gaya
ghaarat tamasha ho gaya
Nazm
Ghaarat tamasha ho gaya
Jafar Sahni