اردو हिंदी
FlodniDedan | Shaahi Shayari
flodniDedan

Nazm

FlodniDedan

Ilyas Ishqi

;

teri KHamosh-mohabbat ko na samjha koi
be-zabani teri izhaar bani thi jis ka

tere jazbaat tere ehsasat
kabhi shadabi se teri kabhi kumlahaT se

aashkara the magar koi na samjha teri baat
zindagi bhi teri poshida thi insanon se

phir bhi kuchh logon ne daulat ke liye nal samajh kar tujh se
drawing-room apne saja rakkhe hain

martabanon mein tawajjoh se lagaya hai tujhe
kitni yak-tarfa rahi hai teri chah

lekin is daur mein kuchh log zaban-dan hain tere
mil gaya hai teri KHamosh mohabbat ko jawab

der hi se sahi insan ka dil jaga hai
aaj bhi ranj mein rahat mein hai tu us ki sharik

us ka gham rakhta hai afsurda tujhe
aur KHushiyan tujhe sarsabz bana deti hain

lekin ab bhi bahut aise hain nahin jin ko KHabar
un pe jo bitti hai tujh pe guzar jati hai

ras be-mehri-e-insan tujhe kab aati hai
ranj ki aanch se tu sukh ke rah jati hai