اردو हिंदी
Mulaqat | Shaahi Shayari
mulaqat

Nazm

Mulaqat

Zubair Rizvi

;

raat sannaTa dar-o-baam ke honTon pe sukut
rahen chup-chap hain patthar ke buton ki manind

raushni taqaton mein alsai hui baiThi hai
nind aankhon ke darichon se lagi baiThi hai

din ke hangamon ki raunaq ko bujhe der hui
chand ko nikle sitaron ko saje der hui

ab kisi chashm-e-nigah-dar ka KHatra bhi nahin
waqt ke hath mein ab sang-e-malamat bhi nahin

dil jo machle to koi Tokne wala bhi nahin
jism pighle to koi dekhne wala bhi nahin

ai nigar-e-dil-o-jaan shauq ki bahon mein machal
saya saya yunhi aaghosh-e-chaman-zar mein chal

din sitam-pesha hai raazon ko ugal deta hai
raat masum hai raazon ko chhupa leti hai