andhyari raat ke aangan mein ye subh ke qadmon ki aahaT
ye bhigi bhigi sard hawa ye halki halki dhundhlahaT
gaDi mein hun tanha mahw-e-safar aur nind nahin hai aankhon mein
bhule-bisre armanon ke KHwabon ki zamin hai aankhon mein
agle din hath hilate hain pichhli piten yaad aati hain
gum-gashta KHushiyan aankhon mein aansu ban kar lahraati hain
sine ke viran goshon mein ek Tis si karwaT leti hai
nakaam umangen roti hain ummid sahaare deti hai
wo rahen zehn mein ghumti hain jin rahon se aaj aaya hun
kitni ummid se pahuncha tha kitni mayusi laya hun
Nazm
Ek waqia
Sahir Ludhianvi