juli kitni bholi thi
jab us ne izhaar kiya tha
apne andar ki KHwahish ka
is chhoTe se shahr ke
sare logon ne us par thuka tha
charch ke father ne
us ko
injil-e-muqaddas ke warqon se paDh ke sunaya
aurat nasl-e-insani ki KHatir duniya mein aai hai
us ke andar ki KHwahish to ek gunah hai
ye to kafi sal purana qissa hai
ab juli to bahut baDe ek shahr ke andar
aali-shan makan mein rahti hai
kabhi-kabhaar use jab
is chhoTe qasbe ki yaad satati hai to
kisi bhi qabristan mein ja kar
an-jaani qabron pe
phul chaDha kar
ghar ko wapas aa jati hai
Nazm
Ek muKHtalif kahani
Iftikhar Naseem