ufuq ke dariche se kirnon ne jhanka
faza tan gai raste muskurae
simaTne lagi narm kohre ki chadar
jawan shaKH-saron ne ghunghaT uThae
parindon ki aawaz se khet chaunke
pur-asrar lai mein rahaT gungunae
hasin shabnam aalud pagDanDiyon se
lipaTne lage sabz peDon ke sae
wo dur ek Tile pe aanchal sa jhalka
tasawwur mein lakhon diye jhilmilae
Nazm
Ek manzar
Sahir Ludhianvi