اردو हिंदी
Ek aanch ki kami | Shaahi Shayari
ek aanch ki kami

Nazm

Ek aanch ki kami

Asghar Nadeem Sayed

;

suraj aasman se gira
aur lemun ban gaya

chand aasman se gira
aur kapas ka phul ban gaya

main tariKH ke minar se gira
aur waqia kyun na ban saka

pani dariyaon se nikla
aur jangal ban gaya

lafz kitab se nikla
aur aalim ban gaya

main us ki niyyat ke andhere se nikla
aur aazadi kyun na ban saka

hawa baadban se giri
aur mallah ka git ban gai

bosa honTon se gira
aur mohabbat ka parinda ban gaya

din uqab ki chonch se gira
aur suraj-mukhi ka bagh kyun na ban saka

tir kaman se nikla
aur baadshah ban gaya

shahzada mahal se nikla
aur jogi ban gaya

KHayal apne madar se nikla
aur nazm kyun na ban saka

KHwahish dil se giri
aur kala gulab ban gai

nukta dhyan se gira
aur sufi ban gaya

main zamin par gira
aur barish ka qatra kyun na ban saka!