اردو हिंदी
Etiraf | Shaahi Shayari
etiraf

Nazm

Etiraf

Naeem Zarrar Ahmad

;

tumhein hai faKHr ki tum ho meri sharik-e-hayat
mujhe ye dukh hai

ki tum meri ham-safar Thahri
main kam-nasib jo qismat se apni laD na saka

tere safar ko bahut tabnak kar na saka
tumhaari KHwahishon ke KHwab-nak daman ko

nae zamane ki ranginiyon se bhar na saka
magar main aaj bhi

ye e'tiraf karta hun
tumhi thi meri mohabbat

tumhi ho jaan-e-hayat
main KHush-nasib ki tum ho meri sharik-e-hayat