wo paiwasta nigahen apne sine mein utar jaen
tarasti aatma ko lamha-bhar to chain aa jae
bikharti saaten phir ek nuqta mein simaT jaen
machalti chandi kohsar ke daman pe lahrae
falak ke nilgun sagar sarapa nur ban jaen
magar main ne suna hai chandni jab yun utarti hai
to nile paniyon mein gunjti maujen ulajhti hain
ujale tirgi se aa lipaTte hain to ujle pairahan bhi bhig jate hain
kahin aisa na ho koi ubharti mauj bal khati daman bhigo de
aur main mahrumiyon ki kashtiyon mein sahilon se dur ho jaun
ye KHadsha barmala lekin wo sharmili nigahen rahat-e-jaan hain
simaTti hain to kale paniyon ka KHauf baDhta hai
bikharti hain to shoale se lapakte hain
wo yaKH-basta nigahen sard raaton ki tarah
mere lahu ki chandni se KHwab ki surat gurezan
tah-ba-tah tarikiyon mein raushni ki ek karan jaise
bipharti lahar ke girdab mein be-baadban kashti
kisi ka shana-e-sahra mein bahta KHub-surat phul
murjhane se pahle dil-e-girafta
KHwahishon mein zard patton si udasi
hasraten takmil ki jhankar se aari
muqaddar KHun-ashami

Nazm
Dubti kirnen
Shabnam Munavari