subh ke jag-mag suraj ko
sham ke naranji baadal mein
kyun gahnati ho
wo kya andesha hai
jis ke baDhte qadmon ki dhamak suni
aur tum ne apne aansu apne andar gira liye
apni ruh mein nauhe jama kiye
aur nisyan ki dustbin mein phenk diye
wo kaun sa mujrim dard hai
jis ko dil ke shab-KHanon mein chhupae
jis ke nadida shoalon se nazar jalae
baiThi ho
chor zehn ke
pichhle shelf pe
tah karke mujhe mat rakkho
mujh se jaan chhuDani ho to
mujhe shuur ke shish-mahal mein zinda karo;
mujhe zinda karo
mere hone ka iqrar karo
meri taqat se inkar karo
mujhe maro;;
Nazm
Dustbin
Saqi Faruqi