gahri raat mein sae
sae zard ghaTa
sakit-o-jamid
gahra
nila jangal
sard hawa mein hath baDha
sard hawa
siskiyan
KHushbu
alhaD jism dorahe
sapna KHun baha
qahr-o-ghazab ki garm hawa
mere KHuda
alhaD jism ka KHun baha
KHun baha
hathon ko mayus na kar

Nazm
Dua
Aazam Khursheed