zamane ke panw mein zanjir Dalo
ki ye chhipkili ki tarah rengta waqt
umidon ke shah-par ko chhune laga hai
ise rok bhi do
ki ye fil-pa ab hamare subuk jism ko raund dega
hamare taKHayyul ke par toD dega
ye sail-e-rawan aarzu ke gharaunde ki buniyaad ko chaT lega
agar dauDta waqt meri tarah
ek markaz pe kuchh der Thahra rahe
nind ke dewta
aankh ki putliyon ke jharokon se jhankenge
aur aa basenge
dilon ki ujaDti hui bastiyon mein
ye aankhen ki jin ka lahu
rat-jage ki lagai hui aag mein jal raha hai
unhen sard hathon ke mahke hue
lams ki justuju hai
inhen aarzu hai
ki koi dil-ram
KHwabon ke gajre saja kar kahe
ai mere sar-phire
main yahan hun yahan
kis liye tu mujhe
waqt ki be-aman wusaton mein kahin
DhunDhta phir raha hai
Nazm
Dil-aram
Shahzad Ahmad