اردو हिंदी
Dhundla lamha | Shaahi Shayari
dhundla lamha

Nazm

Dhundla lamha

Muneer Ahmad Firdaus

;

jazbon ki laDai mein
jab kabhi ehsas par war ho jae

sab be-kar ho jae
duaon ka ek muqaddas silsila

aasmanon se apna nata toD Dale
waqt hum ko wahshaton ke hawale kar ke

chup-chap ruKHsat ho jae
aur muqaddar bhi panah dene se munkir ho jae

to ye sab
faqat is baat ka ishaara hai

ki KHud se be-KHabar ho kar
jo lamha aaluda kar ke hum ne falak ki taraf uchhaala tha

aaj wahi lamha
aasmanon se fatwa le kar

hum par hukmarani karne aaya hai