main hi main hun
aur meri is main main ki mimyahaT mein
apne na hone ke KHauf ki jhunjhlahaT hai
samajh gae na
aapas hi ki baat warna alif se ye tak
main main ki gardan hi meri Tis hai
ye kya
aap bhi bhole bachha hain
main ne kaha na mujhe na DhunDen
aisi fuzul talash ka maqsad
mere andar to mat jhanken
han bahar se jitna chahe bajaen main main
main main
dekha ye sarkari nap tol hai
yahi to Dhol ka poll hai

Nazm
Dhol ka poll
Sarmad Sahbai