pakki gandum ke KHoshon mein
umaDte din ke Deron mein
andhere ki ghani shaKHon
parindon ke baseron mein
thake baadal se girte nam ke andar
utarti sham ke andar
dawam-e-wasl ka ek KHwab hai
jo sans leta hai
mahakti sar-zaminon mein
makanon mein makinon mein
tere mere ilaqon mein
hamare ahd-namon mein
larazte baadbanon mein
kahin duri ke giton mein
kahin qurbat ki tanon mein
azal se ta-abad phaili hui
is chadar-e-aflak ke andar
rida-e-KHak ke andar
hamari nind ki galiyon mein
apni dhun bajata hai
makan-e-afiyat ke band darwaze giraata hai
Nazm
Dawam-e-wasl ka KHwab
Abrar Ahmad