dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
har taraf bagulon ka
raqs gher leta hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
yas gher leti hai
aas ke jazire ko
aur is jazire ko
kab kisi ne dekha hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
baadalon ke sae bhi
sargiran se rahte hain
zindagi ke chehre se
rang ruTh jate hain
rang ruTh jaana to
maut ki alamat hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aas ke jaziron par
jab kabhi utarna tum
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
aas ke jaziron ko
yas mein samo lena
aur dil ke daman ko
aansuon se dho lena
Nazm
Dasht-e-ajnabiyat mein
Karamat Bukhari