kya kya manzar dekh rahi hain aankhen meri
kab se un ujle shishon par
sae larzan hain
kuchh dhundlae manzar armanon ki jadu-nagri se
sine ki tariki se
jugnu ki manind jhalakte rahte hain rang badalte rahte hain
band agar ho jaen ye aankhen
sare manzar
sare pas-manzar
be-alfaz bayan ki surat
ek kore kaghaz mein Dhal kar
(yaksar rup badal kar)
Thahri Thahri aankhon ki tanhai mein kho jaenge
dasht-e-adam ka sannaTa ho jaenge
Nazm
Dasht-e-adam ka sannaTa
Akbar Hyderabadi