bahr-kaif jo dard hota hai
wo dard hota hai
eDi mein kanTa chubhe
to badan tilmilata hai
dil zabt karta hai rota hai
jo barg Tahni se girta hai
wo zard hota hai
chakki ke paTon mein dane to piste hain
pani se nikle to machhli taDapti hai
tair qafas mein
giraftar hon to phaDakte hain
baadal se baadal milen to kaDakte hain
bijli chamakti hai
barsat hoti hai
jo hijr ki raat hoti hai
wo hijr ki raat hoti hai
hum apni wahshat mein
jo bhes badlen
koi rup dhaaren
samundar baloen ya diwar chaTen
tasawwur ki jhilmil mein
din raat kaTen
pahaDon pe chhuTTi manane ko jaen
nadi mein nahaen
ghizaon ki lazzat mein sarshaar hon
roz poshak par ek poshak badlen
kisi itr ki phuwar chhiDken
charaghon ki rangin lau mein
bhare ras bhare honT chhu len
sanobar ke baghon mein ghumen
magar bojh dil ka jo hota hai
wo to ba-dastur hota hai
andar hi andar kahin
sat pardon mein mastur hota hai!
main aaj ki subh
mamul se qabl jaga hun
KHwabida beTon ke galon pe
bosa diya hai
wazu kar ke sajda kiya hai
bahut der tak
aalti-palti mar kar
KHud mein gum ho ke
yoga ke aasan mein baiTha hun
sukhe hue sare gamlon ko
pani diya hai
chhaton khiDkiyon aur zinon mein
makDi ke jalon ko poncha hai
chiDiyon ko
roTi ke reze bhi Dale hain
lekin jo chhaale mere dil ke hain
wo bahr-kaif chhaale hain
chhaalon ki sozish se
taklif hoti hai
dil zabt karta hai rota hai
jo dard hota hai
wo dard hota hai!!
Nazm
Dard hota hai
Rafiq Sandelvi