mere nafs ki wadiyon mein yahan se nikal chalne jaisi hawa chal rahi hai
ufuq-ta-ufuq ek mahakta dhuan hai
sada zaiqe rang aur lams KHushbu mein tahlil hone lage hain
mah-o-sal-e-rafta shab-o-roz-e-ainda lamhe mein tabdil hone lage hain
zaman ek sakta
makan ek nuqta
lakiren adad harf sare
nam-alud kaghaz ki tarkib mein ghul rahe hain
qaba-e-badan sarsaraati hai asrar-e-jan zer-e-band-e-qaba khul rahe hain
koi sarmadi lau si uTThi hai jis se faza jal rahi hai
hawa chal rahi hai
Nazm
Dam-e-wapsin
Abdul Ahad Saaz