phaTte irade yaqin musibat panw dhulae
chashma ki honT shabih-e-luab mayassar raat anokha saneha ho jaega
maile kanwal ke phul Dubota lipaT lipaT kar chumta pani, pani pani
nadamat se maghlub KHarabi: madd-o-jazr maujud tabiat ka taKHrib tamasha
murajat aankhon se ojhal chhuti bahati be-tartib azab hai
hari-bhari bechaargi kaise? aks-e-shabahat pankhuDiyon ka
wo jo irade ki tarkib nahin pa sakta laraz raha hai
phul tashaddud KHauf mein gharq-e-hararat Dubti ubharti patiyan
kenchuli utre to baat bane main kah dun? kar guzrun?
aasab tashannuj phailti be-ruKH baaton ki tardid-e-qayamat kar bhi chuko
ye hadsa daera sa ye simaTta phailta sarpaT bhagte qadmon ki lu par jal-bhun rakh ho
shoala thirakta riDh ki haDDi se maghz ke hukm-e-salasil chaTta
din pane ki laghzish kar le kar hi le majburi aa leti hai
chau-gard ki gardish rakh qarine ki yakjai tamsil-e-ba-zahir ki taid mein rakhti hai
ungliyan ungliyan, baaten baaten, pasina pasina baqi baqi
aur bechaargi
taham to ye tayaqqun tark-e-taghaful Thahre
qaul qayamat aane ke jatan kare taqrib-e-tamasha DhunDe
chhupi rahe, taDpae, taDpe

Nazm
Chumta pani, pani pani
Iftikhar Jalib