اردو हिंदी
Kabhi aisa bhi karna | Shaahi Shayari
kabhi aisa bhi karna

Nazm

Kabhi aisa bhi karna

Yusuf Khalid

;

kabhi aisa bhi karna
sham ki dahliz par

pal-bhar ko rukna
Dubte suraj ka manzar dekhna

aur sochna
ki sham ki gahri udasi ka sabab kya hai

musafir jab thaka-haara
sar-e-manzil

kabhi tanha utarta hai
to kya mahsus karta hai