chalo us koh par ab hum bhi chaDh jaen
jahan par ja ke phir koi bhi wapas nahin aata
suna hai ek nida-e-ajnabi bahon ko phailae
jo aae us ka istiqbaal karti hai
use tarikiyon mein le ke aaKHir Dub jati hai
yahi wo rasta hai jis jagah saya nahin jata
jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata
jo sach puchho to hum tum zindagi bhar haarte aae
hamesha be-yaqini ke KHatar se kanpte aae
hamesha KHauf ke pairahanon se apne paikar Dhanpte aae
hamesha dusron ke sae mein ek dusre ko chahte aae
bura kya hai agar us koh ke daman mein chhup jaen
jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata
kahan tak apne bosida badan mahfuz rakkhenge
kisi ke naKHunon hi ka muqaddar jag lene do
kahan tak sans ki Dori se rishte jhuT ke bandhen
kisi ke panja-e-be-dard hi se TuT jaane do
phir is ke baad to bas ek sukut-e-mustaqil hoga
na koi surKH-ru hoga, na koi munfail hoga
Nazm
Bulawa
Zehra Nigaah