jab se be-nur hui hain shamen
KHak mein DhunDhta phirta hun na jaane kis ja
kho gai hain meri donon aankhen
tum jo waqif ho batao koi pahchan meri
is tarah hai ki har ek rag mein utar aaya hai
mauj-dar-mauj kisi zahr ka qatil dariya
tera arman, teri yaad liye jaan meri
jaane kis mauj mein ghaltan hai kahan dil mera
ek pal Thahro ki us par kisi duniya se
barq aae meri jaanib yad-e-baiza le kar
aur meri aankhon ke gum-gashta guhar
jam-e-zulmat se siyah-mast
nai aankhon ke shab-tab guhar
lauTa de
ek pal Thahro ki dariya ka kahin paT lage
aur naya dil mera
zahr mein dhul ke, fana ho ke
kisi ghaT lage
phir pae-nazr nae dida o dil le ke chalun
husn ki madh karun shauq ka mazmun likkhun
Nazm
Black-out
Faiz Ahmad Faiz