anjaane mein shayad mujh se hi
kuchh aisi bhul hui hai
dudh biloti man ki aankhen
tara tara bikhar rahi hain
man kahti hai dhire bolo
chhoTe chhoTe qadam uThao
aawazon ki gunj dhamak se
qadmon ki bojhal dastak se
dil mein aandhi si chalti hai
din chanan mein kaisi jangal raat utri hai
ghar ki chaukhaT ungh rahi hai
angnai ki dhup bhi khoi khoi si hai
man ko shayad ye uljhan hai
is ne apni man se
jitne dukh wirse mein pae the
chupke chupke jal jaane ke jitne qaul nibhae the
main in sab se kyun baghi hun
kitni bholi sidhi man hai
aag ke wirse se inkar pe ruTh gai hai
Nazm
Bholi man
Mansoora Ahmad