yun to apne hi andar ka sach aur wo sach hai are ta-abad tujh ko kafi hai
kal ki jaanib se is be-yaqini ke sare awariz ka shafi hai
teri sad-samt aur be-gharaz chhoTi chhoTi kai KHidmaton ka ye pushtara hai
be-chaara
aur us ke sath ek dard-e-nadamat hi wajh-e-muafi hai
is tarah pesh-bini riwayat aur maslahat ke munafi hai
phir bhi
tujhe haal ka koi yak-tarfa sahib-e-maqal aaj jo bhi kahe
yaad ye bhi rahe
kitne haalon ki tariKH ne un ko kya kar diya
jis ka jitna tha haq rafta rafta ada kar diya
jab tera haal mazi banega to go agle pichhlon pe hairat karenge
teri KHud-na-tamami na wazeh hui to hikayat shikayat karenge
aur kuchh laghzishon ki nadamat karenge
magar tere sach aur tujh se bahut hi mohabbat karenge
Nazm
Be-yaqini
Jameeluddin Aali