main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
mujhe
pata hai
ki job par hi
hamara future Tika hua hai
magar
ye rasta to
din-ba-din ab
tawil hota hi ja raha hai
jo Dar
tumhaara hai
mere Dar se
alag nahin hai
ho tum pareshan
to main bhi jaanan sukun mein kab hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
kahin pe
mazhab jawaz tha to
kahin pe
rishwat ne hath kaTe
kahin pe
parcha bahut kaThin tha
kahin pe
bimar ho gaya main
kahin pe
chhuTi hai train meri
kahin pe
degree bani kami hai
kahi pe
dushman hui ghaDi hai
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
bahut
umidon ka bojh
kandhon pe le ke paDhna
sabhi ke
KHwabon ko
apni aankhon mein
bhar ke paDhna
sahl nahin hai
magar main phir bhi mahaz par is tarah DaTa hua hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
ye
daur
kitna
Darawna hai
nikal ke dekho
go
ek
haDDi ki
aarzu mein
hazar kutte jhagaD rahe hain
gali gali
sab bhaTak rahe hain
ki coach trainon ke ghar bane hain
main KHud bhi
trainen badal raha hun
na jaane kab se bhaTak raha hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
duaen
tum bhi to
mangti ho
mili ho jab se
namaz koi
qaza tumhaari
nahin hui hai
hansi labon se uDi hui hai
tumhaari rangat badal gai hai
magar
duaen
asar na laen to kya karo tum
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
meri tumhaari
tarah
karoDon mohabbat par
yahi to
KHadshe bane hue hain
magar
yahan ki
hukumaton ke
jo masale hain wo aur hi hain
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
Nazm
Be-rozgar 2
Siraj Faisal Khan