baat yun KHatm hui
dard yun gaya jaise ki sahil hi na tha
sare altaf-o-karam bhul gae
jaur-faramosh hue
raat yun bit gai jaise ki nikla hi na tha
matla-e-shauq pe wo mah-e-tamam
ashk yun sukh gae jaise ki daman mera
us ka aanchal tha
wo paimana-e-naz
jaane gardish mein hai ki TuT gaya
main zamane ke kinare yun khaDa hun tanha
jaise ek jast laga hi dunga
aur kal baad-e-sahar
yun miTa degi har ek naqsh-e-qadam
jaise is rah se pahle koi guzra hi na tha
Nazm
Be-nishan
Mughni Tabassum