ek do pal to zara aur ruko
aisi jaldi bhi bhala kya hai chale jaana tum
sham mahki hai abhi aur na palkon pe sitare jage
hum sar-e-rah achanak hi sahi
muddaton baad mile hain to na milne ki shikayat kaisi
fursaten kis ko mayassar hain yahan
aao do-chaar qadam aur zara sath chalen
shahr-e-afsurda ke mathe pe bujhi sham ki rakh
zard patton mein simaTti dekhen
phir usi KHak-ba-daman pal se
apne guzre hue kal ki KHush-bu
lamha-e-haal mein shamil kar ke
apni be-KHwab masafat ka izala kar len
apne hone ka yaqin
aur na hone ka tamasha kar len
aaj ki sham sitara kar len
Nazm
Be-KHwab masafat
Khalid Moin