KHauf abhi juDa na tha silsila-e-kalam se
harf abhi bujhe na the dahshat-e-kam-KHiram se
sang-e-malal ke liye dil aastan hua na tha
iqlim-e-KHwab mein kahin koi ziyan hua na tha
nikhat-e-abr-o-baad ki masti mein Dolte the ghar
saf dikhai dete the
us ki gali ke sab shajar
gard misal-e-dastken dar pe abhi jami na thin
rang-e-firaq-o-wasl ki parten abhi khuli na thin
aise mein thi kise KHabar
jab saat-e-mahtab ho
yun bhi to hai ki aur hi naqsha-e-KHak-o-ab ho
Nazm
Be-KHabari
Jameel ur Rahman