hazar post ustuKHwan
hazar lab fasurdagi
hazar parda tishnagi
hazar shaKH be-dili
hazar ishwa KHud-sari
hazar ghamza aajizi
hazar pech aagahi
hazar uqda ablahi
hazar lahja KHamushi
hazar marg zindagi
ghurur-e-bartari ke sath iKHtilaj-e-kam-tari
ye reza reza aadmi
ye para para aadmi
hazar chehra aadmi
maashiyat-e-hirs ka ubharta KHalfashaar hai
mujassam intishaar hai
nizam-e-be-mahaar ka azim shahkar hai
hazar chehra aadmi
KHud apna chehra DhunDhta
rawan-dawan
abhi yahan
abhi wahan
na koi samt zehn mein
na koi rah samne
faqat fareb-kari-e-ana ki gard oDh kar
kabhi hai dauDta idhar
kabhi hai bhagta udhar
ho kaun us ka ham-safar
KHud us ke chehron ke hujum mein jo chehra kho gaya
dobara wo milega kya
taawun aaine ka bhi fareb hi fareb hai
nazar lagae ghota kya ki aaina athah hai
KHud apne chehron ka hujum warta-e-nigah hai
na koi naqsh munfarid
na koi aks-e-mo'tabar
hazar chehra aadmi
hazar chehragi liye
bhaTak raha hai be-irada sirf isi talash mein
ki us ko
chehra chahiye
KHud apna chehra chahiye
wo asli chehra chahiye
bichhaD ke jo sisak raha hai chehron hi ki bhiD mein
Nazm
Be-chehragi
Parvez Shahidi